'google658fd05d77029796.html' Main Khud Ko Dhundta Hu.. | The Original Poetry



main khud ko dhundta hu..
main khud ko dhundta hu..

kya mera naam hi meri pehchaan hai,
ya main koi aur hu..
kya mere hone ka koi maksad hai,
ya main bus guzarta daur hu..
bhooli bisri kuch yadon mein, sehme sehme jazbaato mein,
bigdi hui kuch baaton mein, guzre daur ke haalaton mein,
main khud ko dhundta hu...
main khud ko dhundta hu..

ye pal jo aakar guzar gaya,
kya ye mujhse kuch kehta hai..
ye jo kali raaton ke saaye hain, 
kya andhera yahan humesha se rehta hai..
un kaali bojhil raaton mein, us pal ki khaali baaton mein,
badhti hui dararon mein, pal bhar ki baharon mein,
main khud ko dhundta hu..
main khud ko dhundta hu..

samandar mein pani kyun hai,
aakash aasmani kyun hai..
kyun koi boodha hota hai,
itni chhoti jawani kyun hai..
samandar ki tarango mein, aasmaan ke rango mein,
rangeen jawan malango mein, kuch kati hui patango mein
main khud ko dhundta hu..
main khud ko dhundta hu..

yahan barsaat to nahi aayi,
phir meri aankhon me pani kyun hai..
jo main duniya ka hissa hu,
duniya mujhse anjaani kyun hai..
kuch apno ki naadani mein, is duniya ki manmani mein,
behte ashqon ke pani mein, apni sari kahani mein,
main khud ko dhundta hu..
main khud ko dhundta hu..


Categories: ,

3 Responses so far.

  1. quest of self seems to be the ultimate purpose of life! well written, Deepak.

  2. TTT says:

    beautiful ! Life is a journey in search of true self .....

  3. Unknown says:

    @Pub
    Kabhi Khud Ko Phone Lgake Dekha He,
    Engage Tone Sunai Degi,
    Socho Duniya Se Milne Me Sb Mast He,
    Khud Se Milne Ki Sari Line Vyast Hai.!

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews