'google658fd05d77029796.html' Raahon Ke Daayre | The Original Poetry





bematlab baaton mein zindagi ke maayne talaashte hain,
kaanch ke tukdon mein hum aaine talaashte hain
har gali har kooche se guzre,
aaj bhi hum apni raahon ke daayre talaashte hain

ambar ko chhoone ki chaah nahi,
hum uska chhor talaashte hain
patang jo kat gayi to kya rona,
hum to uski dor talaashte hain

suna hai maayus lamhe ke chilman mein,
aasha ka ek moti abhi baaki hai
hum to uss moti ki chamak mein,
apni khushiyon ki bhor talaashte hain

ye jo patte toot kar gir gaye,
isme inka koi kasoor nahi
hum hi un patton ki aahat mein,
kavitaon ka ek daur talaashte hain

sookhi zameen ko dekh kar,
jo mann bhar aaya to ro diye
apni hi aankhon ke pani mein,
hum baarish ka shor talaashte hain

andhere jo door tak faile hain,
inse bhala humein kya shiqwa
gumnaam raaton ke saaye mein
hum khuda ka noor talaashte hain

kaale meghon se jo aasmaa labrez hai,
chand ki parwah nahi hum sitare talaashte hain
har gali har kooche se guzre,
aaj bhi hum apni raahon ke daayre talaashte hain


More important than quest for certainty, is the quest for clarity.

                                  - Francois Gautier


Categories:

8 Responses so far.

  1. You are good with words, deepak, keep it up!

  2. your recognition is my award. thanx meenakshi..

  3. Unknown says:

    mast ekdam..bhai tu bhi ksi din shakespear banega..yaad rakhna meri baat..

  4. jai jawan. jai sunil chaudhary :)

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews