'google658fd05d77029796.html' Ishq ka Karam | The Original Poetry




kya khoob karam hai ishq ka,
jo bakhubi insaan mein farak kar jata hai,
dillagi ke bazaar mein,
kisi ko aabad aur kisi ko barbad kar jata hai..

koi to mehtaab mein sanjota hai khwabon ke moti,
aur kisi ke seeshe ke khwab suraj ki tapish jala jata hai..
koi to nafa mein navaze mehboob ko aafreen,
aur kisi ke nuksaan mein zaalim naasoor ban jata hai.. koi to raushan hai jashn-e-mehfil mein,
aur koi gardish mein maikhane ki or chala jata hai.. 

rehta hai khamosh ki kahin gum gair na ho jayein,
kambakht palkon ka ansu dil ka sara haal keh jata hai..
kya khoob karam hai ishq ka, 
jo bakhubi insaan mein farak kar jata hai,
dhadakna chahta hai kisi ke liye
aur kisi ko tadpa kar chala jata hai..


        - Manvendra Rana (Guest Writer)

Categories:

4 Responses so far.

  1. Your poems are always refreshing, filled with deep thoughts and rich words.. Lovely poem brother..

  2. Manvendra Rana says:

    Thanks Deepak bhaiya, ur expectation is always an incentive.

  3. Manvendra Rana says:

    Thanks Indu ji,

  4. इश्क के मारों का फ़साना लिख दिया ... लाजवाब ...

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews