'google658fd05d77029796.html' Gham-e-mosiqi : Vol. 2 | The Original Poetry



jane kya soch kar phir wo baat aa gayi
nam hui palkein,
jane kab din se raat aa gayi,
chalta raha silsila guftagu ka iss dil mein,
bus kuch saanse ruki aur wo phir yaad aa gayi


*    *    *
dil to kab ka tod chuki wo,
ab to sirf dhadkanein sisakti hain
pehle dil ke ek kone mein rehti thi,
ab har tukdon mein basti hai


*    *    *
waade kiye they hazaron mujhse
jane kyun har baat bhula gayi meri
zinda rehte tanha chhod kar rulaya mujhko,
rokar janaaze pe laash ko rula gayi meri


*    *    *
hum unhein wo kisi aur ko chahte rahe
unki khushi ke liye pal pal dil ko samjhaate rahe
dukh na jaye dil unka,
na chah kar bhi unse door jate rahe
tadapta raha dil,
roti rahi aankhein,
muskurate rahein wo
isliye baarish mein ashqon ko chhupate rahe


*    *    *
tadapne ke siwa aata hi kya hai iss dil ko
unki yaadon ke bina aata hi kahan hai iss dil ko
sisak kar reh jaate hain gham seene mein
aankhon ko rulaane ke siwa aata hi kya hai iss dil ko


By Sourabh Kumar

Categories:

One Response so far.

  1. Sriram ji, actually I am an author at ezinearticles, and they don't allow articles from blogs written in any other language than english, that is why I have to use english font. I hope you understand.

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews