'google658fd05d77029796.html' Nashtar | The Original Poetry




neendon mein nashtar rendte rahe
kal raat hum sapne kuredte rahe
usne kaha tha khwabon mein aayega,
isliye hum salwaton mein raahein ukerte rahe

raah takte takte apne armaan kuch badh gaye
itna soye ke humpe raaton ke ehsaan chadh gaye
sapno ke phool to khil na paaye,
kambakht apni karwaton pe bhi kaante jad gaye

jo le nahi sakte wo naam kyun diya
jab aana na tha to paigaam kyun diya
din ki bechaini se humein inkaar nahi,
par raaton ko meri ye ilzaam kyun diya

agli baar aao to chokha vyopaar karna
waade do hi karna par asardaar karna
mere dil ki laachari pe na karo to na sahi,
par apne khanjar pe to thoda aetbaar karna

Categories:

One Response so far.

  1. Interesting. Shayarana andaaz at its best :)

Leave a Reply

    Attribution

    Total Pageviews